durust hai ki mera haal ab zubun bhi nahin

durust hai ki mera haal ab zubun bhi nahin
maqam-e-sajda ki ye jam sar-nigun bhi nahin

nahin ki shorish-e-bazm-e-tarab fuzun bhi nahin
dalil-e-shorish-e-jaan ek charagh-e-khun bhi nahin

hadis-e-shauq abhi mukhtasar hai chup rahiye
abhi bahaar ka kya gham abhi junun bhi nahin

abhi to taq-e-haram mein jalaiye shamen
abhi harif-e-sanam jazb-e-andarun bhi nahin

abhi ye gumbad-e-sar phodne ki kije fikr
ki sadd-e-rah abhi charkh nilgun bhi nahin

abhi to gard-e-rah-e-astan se saz karen
farogh-e-dida koi paikar-e-fusun bhi nahin

hai is qadar ki nigah baam-o-dar pe phirti hai
magar dilon ko jo tadpae wo sukun bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close