ek anokhi rasm ko zinda rakha hai khun hi ne khun ko paspa rakha hai ab junun-e-khud-numai mein to hum ne wahshaton ka ek daricha wa rakha hai shahr kaise ab haqiqat-ashna ho aagahi par zat ka pahra rakha hai tirgi ki kya ajab tarkib hai ye ab hawa ke dosh par diwa rakha hai tum charaghon ko bujhane par tule ho hum ne suraj ko bhi ab apna rakha hai tum hamare khun ki qimat na puchho is mein apne zarf ka arsa rakha hai shahr ki is bhid mein chal to raha hun zehn mein par ganw ka naqsha rakha hai ye 'azim' apna kamal-e-zarf hai jo dushmanon ke aib par parda rakha hai