ek diya aisa bujha hai mujh mein

ek diya aisa bujha hai mujh mein
nauhagar! ab ke hawa hai mujh mein

aks-dar-aks bikharna hai mujhe
jaane kya tut gaya hai mujh mein

na koi khwab, na aansu na khayal
kya ajab qaht pada hai mujh mein

chashm hairan hai, sar-e-aina
runuma kaun hua hai mujh mein

dil sulagne ka sabab hijr, na wasl
masala is se siwa hai mujh mein

munkashif! aaj talak ho na saka
main khala hun ki khala hai mujh mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close