ek nagar ke naqsh bhula dun ek nagar ijad karun

ek nagar ke naqsh bhula dun ek nagar ijad karun
ek taraf khamoshi kar dun ek taraf aabaad karun

manzil-e-shab jab tai karni hai apne akele dam se hi
kis ke liye is jagah pe ruk kar din apna barbaad karun

bahut qadim ka nam hai koi abr-o-hawa ke tufan mein
nam jo main ab bhul chuka hun kaise us ko yaad karun

ja ke sunun aasar-e-chaman mein saen saen shakhon ki
khali mahl ke burjon se didar-e-barq-o-baad karun

sher 'munir' likhun main uth kar sehn-e-sahar ke rangon mein
ya phir kaam ye nazm-e-jahan ka sham dhale ke baad karun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close