faza hoti ghubar-aluda suraj Dubta hota

faza hoti ghubar-aluda suraj dubta hota
ye nazzara bhi dilkash tha agar main thak gaya hota

nadamat saaten aain to ye ehsas bhi jaga
ki apni zat ke andar bhi thoda sa khala hota

guzishta roz o shab se aaj bhi ek rabt sa kuchh hai
wagarna shahr bhar mein mara mara phir raha hota

ajab si narm aanhken gandumi aawaz khushbuen
ye jis ka aks hain us shakhs ka kuchh to pata hota

masail jaise ab darpesh hain shayad nahin hote
agar kar-e-junun main ne saliqe se kiya hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close