gham-e-insan ki sajai hui duniya hun main

gham-e-insan ki sajai hui duniya hun main
anjuman mere tasawwur mein hai tanha hun main

tapish o dard ke asrar se waqif hun magar
mujh ko ye zoam nahin hai ki masiha hun main

jaane kya shai mere sine mein bhari hai aisi
sham-e-sozan ki tarah jalta pighalta hun main

na kashish hun main zamin ki na hun pani ka uchhaal
zarre udta hua bahta hua dariya hun main

roz paigham-e-mohabbat mujhe deti hai hayat
rah-e-dushwar se aasuda guzarta hun main

chaarasazi gham-e-insan ki hai buniyaad-e-amal
zindagi hai yahi jis ke liye jita hun main

pairwi-e-hawas-e-kham na hogi mujh se
maqsad-e-zabta-e-ishq samajhta hun main

asr-e-hazir ke numainda hain mere ashaar
gham-e-insan ko taghazzul mein samota hun main

jazba-e-khidmat-e-insan hai 'matin' aab-e-hayat
shukr-sad-shukr ai ehsas ki achchha hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close