ghar ki mushkil koi hal chahti hai mujh se wo taj-mahal chahti hai kaisi nadan hai duniya ki talab bij boya nahin phal chahti hai intizar aashna aankhon ki jalan teri aankhon ke kanwal chahti hai fikr hai subh ki dushman kaisi raat ki raat ghazal chahti hai baith ja samne ek naz ke sath tu musawwir ka amal chahti hai jis mein har chehre ke tukde ho jaen aankh wo shish-mahal chahti hai