ghar lauTte hain jab bhi koi yar ganwa kar

ghar lautte hain jab bhi koi yar ganwa kar
ro lete hain ham-zad ko sine se laga kar

kis ko thi khabar is mein tadakh jaega dil bhi
hum khush the bahut sehn mein diwar utha kar

kuchh aur bhi badh jati hain hairaniyan dil ki
sau bar kaha hai ki na aaina taka kar

sawan mein to khud-sozi bhi ho jati hai nakaam
rela sa guzar jata hai sab azm bujha kar

main tark-e-talluq pe bhi aamada hun lekin
tu bhi to mera qarz-e-gham-e-hijr ada kar

ye tai hai ki ab hum ne nahin milna dobara
ye baat magar aur kisi se na kaha kar

is kar-e-mohabbat mein to hota hai khasara
ai sahab-e-zar tu ye tijarat na kya kar

ek shahad sa ghulta chala jata hai dahan mein
leta hun main jab sans teri sans mila kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close