guman ke liye nahin yaqin ke liye nahin

guman ke liye nahin yaqin ke liye nahin
ajib rizq-e-khwab hai zamin ke liye nahin

khayal jo qadam-kusha hai tere la-shuur mein
ghazal hai magar sabuktagin ke liye nahin

hawaen gosh-bar-sada hain kis ke bab mein khamosh
nahin diye ki aaya-e-mubin ke liye nahin

use chhupao kushtagan ke dil mein raaz ki tarah
ye tegh-e-abdar aastin ke liye nahin

main ek budhe falsafi ke khwab ka amin hun
mere labon ki sakht angbin ke liye nahin

kamand ko kaman ko abhi se tah na kijiye
ki ye shikar ke liye hain zin ke liye nahin

jo tir ud chala hai wo mere liye hai 'shahryar'
yasar ke liye nahin yamin ke liye nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close