hai mere gird yaqinan kahin hisar sa kuchh

hai mere gird yaqinan kahin hisar sa kuchh
aur us ko bhi hai duaon pe e'tibar sa kuchh

kahin to gosha-e-dil mein ummid baqi hai
kahin hai us ki nazar mein bhi intizar sa kuchh

kaha jab us ne ke aankhon pe e'tibar na kar
to main ne mang liya dil pe ikhtiyar sa kuchh

ye sara khel faqat gardishon ka hai aahang
fuzul dhund rahe ho yahan qarar sa kuchh

jo le ke aaya tha sailab khushbuon ka kabhi
wo bhar gaya hai meri aankh mein ghubar sa kuchh

utar chuka hai badan se tamam nasha-e-wasl
chadha chadha sa tabiat pe hai khumar sa kuchh

suna hai ye bhi buzurgi ki ek alamat hai
so main bhi hone laga 'taj' khaksar sa kuchh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close