hamare waste har aarzu kanton ki mala hai hamein to zindagi de kar khuda ne mar dala hai udhar qismat hai jo har dam naya gham hum ko deti hai idhar hum hain ki har gham ko hamesha dil mein pala hai abhi tak ek khatak si hai abhi tak ek chubhan si hai agarche hum ne apne dil se har kanta nikala hai ghalat hi log kahte hain bhalai kar bhala hoga hamein to dukh diya us ne jise dukh se nikala hai tamasha dekhne aae hain hum apni tabahi ka bata ai zindagi ab aur kya kya hone wala hai