han kabhi ruh ko naKHchir nahin kar sakta

han kabhi ruh ko nakhchir nahin kar sakta
tujh zaban ne jo kiya tir nahin kar sakta

chand hota to ye mumkin tha magar chand nahin
so main us shakhs ko taskhir nahin kar sakta

main kahan aur ye aayat-e-khad-o-khal kahan
mushaf-e-husn main tafsir nahin kar sakta

aankh ne dekha sar-e-sham wo manzar 'fartash'
karna chahun bhi to taswir nahin kar sakta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close