haqiqaton ko fasana nahin banati main tumhaare khwab se khud ko nahin jagati main wo fakhta ki alamat agar samajh jata to us ke samne talwar kyun uthati main janab waqai main ne kahin nahin jaana wagarna aap ki gadi mein baith jati main phir ek-dam mere pairon mein gir gae kuchh log qarib tha ki koi faisla sunati main khuda ka shukr ki wo raste se laut gaya agar wo aata to us ko kahan bithati main kisi khayal mein hathon se chhut jate hain ye jaan-bujh ke bartan nahin giraati main wo dil ho ya meri gudiya ki maut ho jo ho hamesha sog mein chulha nahin jalati main main manti hun mera faisla ghalat nikla tumhin batao ki pahle kise bachati main mera badan kisi titli se kam nahin 'zahra' to mar na jati agar tere hath aati main