har-chand dur dur wo husn-o-jamal hai

har-chand dur dur wo husn-o-jamal hai
ai wusat-e-nigah tera kya khayal hai

duniya-e-ab-o-gil mein masarrat ki aarzu
aisi hai jaise aap ka pana muhaal hai

lo subh-e-inqalab ka bhi aasra gaya
ab karobar-e-zist tera kya khayal hai

virani-e-hayat ko phir tul dijiye
ye meri zindagi ka muqaddam sawal hai

duniya ne us ko jaan ke jaana nahin abhi
'hamid' jo ek shair-e-sad-khasta-haal hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close