har ek ka dard usi aashufta-sar mein tanha tha

har ek ka dard usi aashufta-sar mein tanha tha
wo ek shakhs jo sare nagar mein tanha tha

wo aadmi bhi jise jaan-e-anjuman kahiye
chala jab uth ke to sare safar mein tanha tha

jo tir aaya gale mil ke dil se laut gaya
wo apne fan mein main apne hunar mein tanha tha

us ek diye se hue kis qadar diye raushan
wo ek diya jo kabhi baam-o-dar mein tanha tha

suna hai lut gaya kal raat raste mein kahin
jo ek rah-guzri rahguzar mein tanha tha

utha ye shor wahin se sadaon ka kyun-kar
wo aadmi to suna apne ghar mein tanha tha

har ek mein koi kami thi har ek mein tha koi aib
dhula hua wahi bas aab-e-zar mein tanha tha

na pa saka kabhi ta-umr lutf-e-tanhai
umar jo sare jahan ki nazar mein tanha tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close