hua kare jo andhera bahut ghanera hai

hua kare jo andhera bahut ghanera hai
kisi ki zulf tale har samay sawera hai

hikayat-e-lab-o-rukhsar mein guzar den waqt
jahan mein sirf ghadi do ghadi basera hai

jalao ghar ki munderon pe chashm-o-dil ke diye
bahao git birah ke bahut andhera hai

wo mohtasib ho ki shahna ki mufti-o-qazi
hamara koi nahin hai har ek tera hai

mere dimagh ke khannas ne pasand kiya
khandar ke haft-balaon ka jis mein dera hai

main barg-e-zard hun shayan-e-iltifat nahin
hasin gul ko hasin titliyon ne ghera hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close