hum kisi saya-e-diwar mein aa baiThe hain

hum kisi saya-e-diwar mein aa baithe hain
ya kahin sham ke aasar mein aa baithe hain

hum ki juz apne siwa auron se waqif hi nahin
khud se uktae to do-chaar mein aa baithe hain

hum ko bhati na thi khushbu-e-chaman to uth kar
ghar ke gul-dan ki mahkar mein aa baithe hain

ye ajab log hain jine ki tamanna le kar
subh hote hi saf-e-dar mein aa baithe hain

chhod kar apne thikanon ko chaman mein ye parind
jaane kyun wadi-e-pur-khar mein aa baithe hain

tu na ho to koi tujh sa hi nazar aae 'shahab'
hum jahan hasrat-e-didar mein aa baithe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close