inhen mat chheDiye inko to KHwahish hai singhasan ki

inhen mat chhediye in ko to khwahish hai singhasan ki
faqat ye jaan lije ye hai aadat mulk-dushman ki

ise tanhai mein jab yaad aai apne sajan ki
ghamon ke sae mein guzri thi kal ki raat birhan ki

bataun kya tumhein sarkash hawa ki dastan yaron
ki shakhen sukhti hi ja rahi hai mere gulshan ki

khudaya ye hamari qaum mein tafriq hai kaisi
sabhi ko ek kar de ye dua hai mere tan-man ki

ki badhta ja raha hai zafrani rang har shai par
nazar aati nahin hai khair ab apne nasheman ki

mujhe phansi pe latka do magar sach baat bolunga
chita har gam par jalti hai yaro aaj dulhan ki

ye kaisa daur aaya hai ye kaise log hain 'sajid'
madad koi nahin karta yahan dil se abhagan ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close