is dasht-e-be-panah ki had par bhi KHush nahin

is dasht-e-be-panah ki had par bhi khush nahin
main apni khwahishon se bichhad kar bhi khush nahin

ek sarkhushi muhit hai chaaron taraf magar
basti mein koi shakhs koi ghar bhi khush nahin

kitne hain log khud ko jo kho kar udas hain
aur kitne apne-ap ko pa kar bhi khush nahin

ye kaifiyat ghulam nahin qaid-o-band ki
andar jo apne khush nahin bahar bhi khush nahin

sahil ki bhigi ret pe chalta barhana-pa
main hun udas aur samundar bhi khush nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close