jab tabiat sukun se ghabrai

jab tabiat sukun se ghabrai
le chala zauq-e-abla-pai

wo hue mail-e-masihai
maut phir zindagi se sharmai

zulf bikhri ki bas ghata chhai
ahl-e-taqwa pe ek bala aai

tair-e-arzu ne par tole
sehn-e-dil mein chali hai purwai

mud ke tufan ko barha dekha
nazd-e-sahil jo mauj le aai

kashmakash wo junun-o-hosh mein hai
ban gaya husn bhi tamashai

ruh-o-tan mein azal se nisbat hai
phir bhi hain tishna-e-shanasai

shaikh ko khuld-o-hur ka sauda
hae ye lazzaton ki girai

mai-kada ka ye moajiza hai ajib
kufr-o-din mein bhi hai shanasai

shaghl-e-mai fart-e-gham mein kya karte
is mein thi dukht-e-raz ki ruswai

din ko masjid to shab ko mai-khana
tujh sa 'farhat' hai kaun harjai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close