jhuT par uske bharosa kar liya

jhut par us ke bharosa kar liya
dhup itni thi ki saya kar liya

ab hamari mushkilen kuchh kam huin
dushmanon ne ek chehra kar liya

hath kya aaya saja kar mahfilen
aur bhi khud ko akela kar liya

haarne ka hausla to tha nahin
jit mein dushman ki hissa kar liya

manzilon par hum milen ye tai hua
wapsi mein sath pakka kar liya

sari duniya se lade jis ke liye
ek din us se bhi jhagda kar liya

qurb ka us ke utha kar faeda
hijr ka saman ikattha kar liya

guftugu se hal to kuchh nikla nahin
ranjishon ko aur taza kar liya

mol tha har chiz ka bazar mein
hum ne tanhai ka sauda kar liya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close