jo chahun bhi to ab KHud ko badal sakta nahin hun

jo chahun bhi to ab khud ko badal sakta nahin hun
samundar hun kinaron se nikal sakta nahin hun

main yakh-basta fazaon mein asir-e-zindagi hun
teri sanson ki garmi se pighal sakta nahin hun

mere panw ke niche jo zamin hai ghumti hai
to yun ai aasman main bhi sambhal sakta nahin hun

khud apne dushmanon ke sath samjhauta hai mumkin
main tere dushmanon ke sath chal sakta nahin hun

wo pauda nafraton ka hai jahan chahe uga lo
mohabbat hun main har mitti mein phal sakta nahin hun

unhen ladna padega mujh se jab tak hun main zinda
hisar-e-dushmanan se go nikal sakta nahin hun

khule hain raste kitne mere raste mein 'azmi'
magar main hun ki har sanche mein dhal sakta nahin hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close