jo hain mazlum un ko to taDapta chhoD dete hain

jo hain mazlum un ko to tadapta chhod dete hain
ye kaisa shahr hai zalim ko zinda chhod dete hain

ana ke sikke hote hain faqiron ki bhi jholi mein
jahan zillat mile us dar pe jaana chhod dete hain

hua kaisa asar masum zehnon par ki bachchon ko
agar paise dikhao to khilauna chhod dete hain

agar malum ho jae padosi apna bhuka hai
to ghairat-mand hathon se niwala chhod dete hain

mohazzab log bhi samjhe nahin qanun jangal ka
shikari sher bhi kawwon ka hissa chhod dete hain

parindon ko bhi insan ki tarah hai fikr rozi ki
sahar hote hi apna aashiyana chhod dete hain

tajjub kuchh nahin 'dana' jo bazar-e-siyasat mein
qalam bik jaen to sach baat likhna chhod dete hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close