jo mai-KHane mein jata tha qadam rakhte jhijhakta tha

jo mai-khane mein jata tha qadam rakhte jhijhakta tha
ki saghar aankh dikhlata tha aur shisha bhabhakta tha

tamasha ho raha tha abr mein rone se kya mere
udhar pani barasta tha idhar lohu tapakta tha

bada ehsan kiya jo dil ko mere khinch kar kadha
ki muddat se mere sine mein jun kanta khatakta tha

tere kuche mein main ne aaj dasht-e-karbala dekha
koi mara pada tha aur pada koi sisakta tha

gaya tha teliya kapdon se tu aaina-khane mein
ki ab tak khana-e-aina us bu se mahakta tha

maza lene ke tain shirin-maqali ka teri 'hatim'
khada munh ko adab se dur nadida sa takta tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close