kahan kahan na tasawwur ne dam phailae

kahan kahan na tasawwur ne dam phailae
hudud-e-sham-o-sahr se nikal ke dekh aae

nahin payam rah-e-nama-o-payam tu hai
abhi saba se kaho un ke dil ko bahlae

ghurur-e-jada-shanasi baja sahi lekin
suragh-e-manzil-e-maqsud bhi koi pae

khuda wo din na dikhae ki rahbar ye kahe
chale the jaane kahan se kahan nikal aae

guzar gaya koi darmanda-rah ye kahta
ab is faza mein koi qafile na thahrae

na jaane un ke muqaddar mein kyun hai tira-shabi
wo ham-nawa jo sahar ko qarib-tar lae

koi fareb-e-nazar hai ki tabnak faza
kise khabar ki yahan kitne chand gahnae

gham-e-zamana teri zulmaten hi kya kam thin
ki badh chale hain ab un gesuon ke bhi sae

bahut buland hai is se mera maqam-e-ghazal
agarche main ne mohabbat ke git bhi gae

'hafiz' apna muqaddar 'hafiz' apna nasib
gire the phul magar hum ne zakhm hi khae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close