matlab ki baat shakl se pahchan jaiye

matlab ki baat shakl se pahchan jaiye
main kyun kahun zaban se khud jaan jaiye

aae wo naza mein bhi na hasrat nikalne
ab zer-e-khak le ke sab arman jaiye

us bholi bholi shakl ke ho jaiye nisar
un bholi bholi baaton ke qurban jaiye

banhen gale mein daliye bhi ab hansi-khushi
ye hai shab-e-visal kaha man jaiye

kya tha jo muskuraate hue kah gae abhi
khak aa ke mere dar ki zara chhan jaiye

mehman-nawaz un sa koi dusra nahin
ji mein hai un ke ghar kabhi mehman jaiye

hai qasd aaj hazrat-e-dil un ki bazm ka
allah aap ka hai nigahban jaiye

ja baithiye tunuk ke zara mujh se phir alag
be-kuchh kahe sune bhi bura man jaiye

bad-yumn mere haq mein hai subh-e-shab-e-visal
khole hue na baal pareshan jaiye

kya tab hai 'riyaz' tumhaari zaban ki
rangini-e-kalam ke qurban jaiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close