misal-e-mushk zaban se meri fasana gaya

misal-e-mushk zaban se meri fasana gaya
main ek tarannum-e-khush-lab jise suna na gaya

gulon ke ishq mein kharon se dosti kar li
bas ek murgh-e-chaman tha jo aashiqana gaya

hui thi rahnumai magar ye jurm ka shauq
usi ke kucha-e-qatil mein mujrimana gaya

kabhi tasawwur-e-jaanan kabhi tasalli-e-dil
tumhaari yaad se khali kabhi raha na gaya

mera ye jurm bhi likh de mere nawishte mein
ki main takalluf-e-ulfat mein mukhlisana gaya

kitab-e-zist ki tabir marg-e-dil hi to hai
jise suna to gaya hai abhi padha na gaya

siyah raat ki tanhaiyan khuda ki panah
'qamar'-nazhad tha dilbar to dil-barana gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close