na hote shad aain-e-gulistan dekhne wale

na hote shad aain-e-gulistan dekhne wale
fasana bhi agar padh lete unwan dekhne wale

halakat-khez ijadon pe duniya fakhr karti hai
kahan hain irtiqa-e-nau-e-insan dekhne wale

jo mumkin ho tum apne hath ki rekha khurach dalo
ki hum hain to sahi khwab-e-pareshan dekhne wale

ye rakhne hain ye dar hain ye tere ajdad ke sar hain
idhar aa katba-e-diwar-e-zindan dekhne wale

tulu-e-aftab-e-agahi kya khak dekhenge
hiqarat se mera chaak-e-gareban dekhne wale

to phir kaisi nazar-bandi tilsimat-e-tadabbur kya
jo khud ko dekh len jashn-e-charaghan dekhne wale

shikast-e-zauq-e-nazzara muqaddar hi sahi 'ghausi'
unhen dekhenge phir bhi ta-ba-imkan dekhne wale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close