nigah-e-lutf se teri kahin jo hum milte

nigah-e-lutf se teri kahin jo hum milte
hamari zist ke sham-o-sahar baham milte

hamein fareb-e-khirad ne dubo diya warna
hamare jam se khud aa ke jam-e-jam milte

kisi ke dard pe hansna kisi ke gham mein khushi
ye lamhe kash zamane ko kam se kam milte

na hote hum to zamane ki aagahi ki qasam
na lauh milti na tum ko kahin qalam milte

sar-e-niyaz ki azmat ke raaz jab khulte
dar-e-butan se nishan-e-dar-e-haram milte

tamam-umr ganwa di talash mein lekin
khuda na milta na milta kahin sanam milte

kalam-e-'asar' ki arzish nahin zamane mein
kahin jo hoti to halke se kuchh waram milte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close