nikhra KHizan se rang-e-bahaaran hai in dinon

nikhra khizan se rang-e-bahaaran hai in dinon
viraniyon se badh ke gulistan hai in dinon

kam-maya mor mail-e-parwaz kyun hue
barham bahut mizaj-e-sulaiman hai in dinon

phir tez ho chali hai hawa-e-fareb-e-ishq
kitna hasin ahd hai paiman hai in dinon

shaikh aa gaya bulandi-e-mimbar se farsh par
phir sazish-e-buland ka imkan hai in dinon

khinchi ajib karb se sahil ne aah-e-sard
goya sukut bar-lab-e-tufan hai in dinon

phir badh ke hum ne jam-e-tamanna utha liya
phir ek nai shikast ka arman hai in dinon

wo daur-e-hadsat-e-jahan hai ki al-aman
apna to bas khuda hi nigahban hai in dinon


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close