phir kabhi ye khata nahin karna sab se hans kar mila nahin karna tum mere waste kabhi ai dost zindagi ki dua nahin karna dar-o-diwar bhi rulate hain ghar mein tanha raha nahin karna dil ki taswir khat mein rakh dena baat dil ki likha nahin karna main hun insan bahak bhi sakta hun mujh se tanha mila nahin karna apni had mein raha karo 'firdaus' had se aage badha nahin karna