rag-o-pai mein sarayat kar gaya wo

rag-o-pai mein sarayat kar gaya wo
mujhi ko mujh se rukhsat kar gaya wo

na thahra koi mausam wasl-e-jaan ka
mutayyan rah furqat kar gaya wo

man o tu ki giri diwar sar par
bayan kaisi haqiqat kar gaya wo

darun-e-khana se ghafil hai lekin
barun-e-khana zinat kar gaya wo

sar-e-shab hi mein aksar jal bujha hun
har ek khwahish ko lat-pat kar gaya wo

hawadis ka wo tund o shokh jhonka
samar dil ka akarat kar gaya wo

mata-e-gham chhupa kar kyun na rakkhun
hawale ye amanat kar gaya wo

tumhein bhi bhulne ki koshishen kin
ki khud par bhi qayamat kar gaya wo

sukun-amez lamhon mein 'farid' ab
farogh-e-ranj-o-mehnat kar gaya wo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close