sans ka apni rag-e-jaan se guzar hone tak

sans ka apni rag-e-jaan se guzar hone tak
dard hota hai mujhe shab ke sahar hone tak

umr guzri pa asar aah ka phir bhi na hua
ji gae hum bhi kisi zulf ke sar hone tak

jab wo samjhenge to ye dard mein dhal jaegi
aah baqi hai meri sirf asar hone tak

tha taghaful unhen nau-midi-e-jawed bhi thi
khak-dar-khak the hum un ko khabar hone tak

apne hi khun mein nahata hai har ek sans ke sath
dil mera dil tha kisi dard ka ghar hone tak

samna partaw-e-khur ka kare shabnam kaise
zor lagta hai bahut khushk ko tar hone tak

khak hain khak mein mil jaane ka dar kyun ho hamein
khauf khana hai to qatre ko guhar hone tak

dil mein ab rahm nahin mehr-o-mohabbat bhi nahin
wo bhi insan tha magar sahab-e-zar hone tak

ho gaya ishq jo mayus-e-tamanna ek bar
maut aaegi use bar-e-digar hone tak

un ke ba-zabta hone ki hai 'tamjid' umid
hum bhi ho jate hain khamosh magar hone tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close