shahr se kya gai jaanib-e-dasht-ezar zindagi faKHta

shahr se kya gai jaanib-e-dasht-ezar zindagi fakhta
bain karne lagi aa ke sham-o-sahar matami fakhta

mar gaya raat ko barf odhe hue ek footpath par
wo jo kahta raha lafz wo umr-bhar shanti fakhta

kaisi kaisi hawaen chalin bagh mein kaun aaya gaya
sari tabdiliyon se rahi be-khabar bawri fakhta

wo nagar chand ka hai wahan teri kirnon ki khwahish kise
is taraf tirgi hai yahan la ke dhar tashtari fakhta

be-aman shahr mein kaisi dahshat se guzri thi main kya kahun
jab adu dekhti apne hi baal-o-par nochti fakhta

wo jo aankhon mein thi koi duniya alag thi jahan se juda
mere khwabon mein the amn ka rahbar raushni fakhta

main tha shair mujhe shahr-ashob likhne the likhta raha
teri qismat mein likhe gae kyun khandar sundari fakhta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close