tere halke se tabassum ka ishaara bhi to ho

tere halke se tabassum ka ishaara bhi to ho
ta sar-e-dar pahunchne ka sahaara bhi to ho

shikwa o tanz se bhi kaam nikal jate hain
ghairat-e-ishq ko lekin ye gawara bhi to ho

mai-kashon mein na sahi tishna-labon mein hi sahi
koi gosha teri mahfil mein hamara bhi to ho

kis taraf mod den tuti hui kashti apni
aise tufan mein kahin koi kinara bhi to ho

hai gham-e-ishq mein ek lazzat-e-jawed magar
is gham-e-dahr se ai dil koi chaara bhi to ho

mai-kade bhar pe tera haq hai magar pir-e-mughan
ek kisi chiz pe rindon ka ijara bhi to ho

ashk-e-khunin se jo sinche the bayaban hum ne
un mein ab lala o nasrin ka nazara bhi to ho

jam ubal padte hain mai lutti hai khum tutte hain
nigah-e-naz ka dar-parda ishaara bhi to ho

pi to lun aankhon mein umde hue aansu lekin
dil pe qabu bhi to ho zabt ka yara bhi to ho

aap is wadi-e-viran mein kahan aa pahunche
main gunahgar magar main ne pukara bhi to ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close