unhen qaid karne ki koshish hai kaisi

unhen qaid karne ki koshish hai kaisi
khala mein sadaon ki bandish hai kaisi

nihan mujh mein hai aur mere badan ka
lahu chatti hai jo khwahish hai kaisi

mujhe muskurane ki kis ne saza di
meri zat par ye nawazish hai kaisi

mili khushbuon ke jazire ki dawat
mujhe phir rulane ki sazish hai kaisi

muqaddar mein hai jab hamare andhere
nazar mein sarabi si tabish hai kaisi

nagar hai ye phulon ka to phir yahan par
chatanen ugane ki kawish hai kaisi

bahut shad aabaad rakhna tha us ko
zamin par lahu ki ye barish hai kaisi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close