wahi hua ki KHud bhi jis ka KHauf tha mujhe

wahi hua ki khud bhi jis ka khauf tha mujhe
charagh ko jala ke bas dhuan mila mujhe

kabhi mita saka na koi dusra mujhe
shikast de gai magar meri ana mujhe

jawab is sawal ka bhi de zara mujhe
uda ke lai hai yahan pe kyun hawa mujhe

hari-bhari si shakh par khila hua gulab
na jaane ek khar kyun chubha gaya mujhe

us ajnabi se wasta zarur tha koi
wo jab kabhi mila to bas mera laga mujhe

abhi na mujh ko tokiye abhi to zindagi
suna rahi hai git roz ek naya mujhe

ye muddaton ke baad jo kahi ghazal 'hilal'
wo kaun hai jo aaj yaad aa gaya mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close