wo yun shakl-e-tarz-e-bayan khinchte hain

wo yun shakl-e-tarz-e-bayan khinchte hain
ki qail ki goya zaban khinchte hain
ye tashhir dekho sag-e-ku-e-dilbar
abhi tak meri haddiyan khinchte hain
kare gar koi zikr ja kar hamara
wo talu se us ki zaban khinchte hain
na sadme se kyun khushk ho khun-e-bulbul
gulon ka araq baghban khinchte hain
badhi hai safar mein watan ki mohabbat
makinon ko kya kya makan khinchte hain
kare kaun sauda-e-zulf-e-musalsal
hamin hain jo ye bediyan khinchte hain
pas-e-marg mearaj aashiq ki dekho
lahad ki zamin aasman khinchte hain
nishana banaenge tir-e-nazar ka
mohabbat ke dil par nishan khinchte hain
zara dam to lene de ai maut mujh ko
thahar kar nafas na-tawan khinchte hain
zaifi mein bhi dil mein hai yaad-e-abru
kabaada hain khud aur kaman khinchte hain
mujhe dekh kar jab wo munh modte hain
to dil mein chhupa kar sinan khinchte hain
ghazab hai hasinon ka taur-e-takallum
dilon ko ye jadu-bayan khinchte hain
badha fikr mein rang zardi-e-rukh se
ye itr-e-gul-e-zafran khinchte hain
'habib' ab zamin aasman sar pe lenge
ki nale mere bijliyan khinchte hain