zulmat-kade mein mere shab-e-gham ka josh hai

zulmat-kade mein mere shab-e-gham ka josh hai
ek shama hai dalil-e-sahar so khamosh hai
ne muzhda-e-visal na nazzara-e-jamal
muddat hui ki aashti-e-chashm-o-gosh hai
mai ne kiya hai husn-e-khud-ara ko be-hijab
ai shauq! han ijazat-e-taslim-e-hosh hai
gauhar ko aqd-e-gardan-e-khuban mein dekhna
kya auj par sitara-e-gauhar-farosh hai
didar baada hausla saqi nigah mast
bazm-e-khayal mai-kada-e-be-kharosh hai
ai taza wardan-e-bisat-e-hawa-e-dil
zinhaar agar tumhein hawas-e-nae-o-nosh hai
dekho mujhe jo dida-e-ibrat-nigah ho
meri suno jo gosh-e-nasihat-neosh hai
saqi-ba-jalwa dushman-e-iman-o-agahi
mutrib ba-naghma rahzan-e-tamkin-o-hosh hai
ya shab ko dekhte the ki har gosha-e-bisat
daman-e-baghban o kaf-e-gul-farosh hai
luft-e-khiram-e-saqi o zauq-e-sada-e-chang
ye jannat-e-nigah wo firdaus-e-gosh hai
ya subh-dam jo dekhiye aa kar to bazm mein
ne wo surur o soz na josh-o-kharosh hai
dagh-e-firaq-e-sohbat-e-shab ki jali hui
ek shama rah gai hai so wo bhi khamosh hai
aate hain ghaib se ye mazamin khayal mein
'ghaalib' sarir-e-khama nawa-e-sarosh hai
Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close