Bahut hi muddat ke baad kal jab

Bahut hi muddat ke baad kal jab..
kitaab-e maazi ko maine khola…
bahut se chehre nazar mein utare..
bahut se naamon pe dil paseeja…
ek aisa safha bhi uss mein aaya..
likha hua tha jo aansuon se…
ki jiska unwan “humsafar” tha..
jo safha sab se hi motabar tha…
kuchh aur aansu phir uss pe tapke..
phir uss se aage main padh na paya…
kitaab-e maazi ko bandh kar ke..
uski baaton mein kho gaya main…
agar woh milta toh kaisa hota..?
inhi khyaalon mein so gaya main …!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close