agar yahi hai shaeri to shaeri haram hai!

agar yahi hai shaeri to shaeri haram hai!
khirad bhi zer-e-dam hai junun bhi zer-e-dam hai

hawas ka nam ishq hai talab khudi ka nam hai
nazar udas dil malul ruh tishna-kaam hai

magar labon pe naghma-e-hayat shad-kaam hai
rahin-e-ariz-e-hasin asir-e-zulf-e-mushkbu!

nigah mein liye hue ghuti ghuti si justuju
bhatak rahe hain wadi-e-khizan mein bahr-e-rang-o-bu

sahar ke git ga rahe hain aur waqt-e-sham hai
nazar mein mah-o-kahkashan hain azmat-e-bashar nahin

qadam badha rahe hain aur rah mo'tabar nahin
fareb-khurda-e-chaman hain dam par nazar nahin

khayal-e-nazm-e-mai-kada nahin hai fikr-e-jam hai
mila wo ikhtiyar jis pe bebasi hai khanda-zan

wo raushni mili ki jis pe tirgi hai khanda-zan
wo zindagi mili ki jis pe maut bhi hai khanda-zan

ba-zid hain phir bhi kaj-nazar hayat shad-kaam hai
numaish-o-numud-o-nang-o-nam par nigah hai!

jamal-e-yar-o-juebar-o-jam par nigah hai
ba-nam-e-bandagi butan-e-baam par nigah hai

shabab-o-sher-o-shahid-o-sharab se hi kaam hai
agar yahi hai shaeri to shaeri haram hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close