gadhon ka mushaere

ek raat main ne khwab mein dekha ye majra
ek ja pe ho raha hai gadhon ka mushaere
wo nile pile qumqume maidan hara-bhara
baitha hai farsh-e-sabz pe ek surmai gadha
jitne gadhe hain sab ke takhallus hain wahiyat
kone mein baithi dum ko hilati hain kharriyat
kuchh mote taze khar the kai laghar-o-nahif
kuchh fanne-khan gadhe the kai mehrban sharif
kuchh aise-waise aur kai shaeri ke chief
sarqa-pasand aath the aur das ghazal ke thief
dhenchu mein jin ki rang tha wo sare hit gae
waqif na the jo sat suron se wo pit gae
ba-hosh jo gadhe the wo baithe gadhi ke pas
'saghar' bhi ja ke baith gae ras-bhari ke pas
kaddu sa sar liye hue chhappan-chhuri ke pas
ismat tha jis ka nam wo baithi dari ke pas
barfi si thuthni pe likhe band dosto
munh mein zaban hai ki shakarqand dosto
sidhi kanautiyon mein wo bandon ki aab-o-tab
aawaz-e-shoala-war mein mahakti hui sharab
palkon ki chilmanon mein chhupe raushni ke khwab
tode pada tha jism ko uthta hua shabab
qadren thin jin ke pas wo sar ko jhukae the
jo manchale gadhe the wo thuthan uthae the
mike pe aa ke shor machate hue gadhe
panon ki ja pe ghas chabaate hue gadhe
tirshul zehn o dil pe chalate hue gadhe
diwar nafraton ki uthate hue gadhe
jo the uruz-dan wo riwayat mein band the
be-bahra jo gadhe the taraqqi-pasand the
This is a great gadhe ki shayari. True lovers of dum ki shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore gadha shayari in hindi. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close