aa hi jaegi sahar matla-e-imkan to khula na sahi bab-e-qafas rauzan-e-zindan to khula le ke aai to saba us gul-e-chini ka payam wo sahi zakhm ki surat lab-e-khandan to khula sail-e-rang aa hi rahega magar ai kisht-e-chaman zarb-e-mausam to padi band-e-bahaaran to khula dil talak pahunche na pahunche magar ai chashm-e-hayat baad muddat ke tera panja-e-mizhgan to khula dard ka dard se rishta hai chalo ai 'majruh' aaj yaron se ye ek uqda-e-asan to khula