aa ke sajjada-nashin qais hua mere baad na rahi dasht mein khali koi ja mere baad miyan mein us ne jo ki tegh-e-jafa mere baad khun-girafta koi kya aur na tha mere baad dosti ka bhi tujhe pas na aaya he he tu ne dushman se kiya mera gila mere baad garm-bazari-e-ulfat hai mujhi se warna koi lene ka nahin nam-e-wafa mere baad munh pe le daman-e-gul roenge murghan-e-chaman bagh mein khak udaegi saba mere baad chaak isi gham se gareban kiya hai main ne kaun kholega tere band-e-qaba mere baad ab to hans hans ke lagata hai wo mehndi lekin khun rula dega use rang-e-hina mere baad main to gulzar se dil-tang chala ghuncha-rawish mujh ko kya phir jo koi phul khila mere baad wo hawa-khwah-e-chaman hun ki chaman mein har subh pahle main jata tha aur baad-e-saba mere baad sun ke marne ki khabar yar mere ghar aaya yani maqbul hui meri wafa mere baad zabh kar ke mujhe nadim ye hua wo qatil hath mein phir kabhi khanjar na liya mere baad meri hi zamzama-sanji se chaman tha aabaad kiya sayyaad ne ek ek ko riha mere baad aa gaya bich mein us zulf ki ek main nadan na hua koi giraftar-e-bala mere baad qatl to karte ho par khub hi pachhtaoge mujh sa milne ka nahin ahl-e-wafa mere baad barg-e-gul lai saba qabr pe meri na nasim phir gai aisi zamane ki hua mere baad gir pade aankh se us ki bhi yakayak aansu zikr mahfil mein jo kuchh mera hua mere baad zer-e-shamshir yahi soch hai maqtal mein mujhe dekhiye ab kise lati hai qaza mere baad shart-e-yari yahi hoti hai ki tu ne 'ghafil' bhul kar bhi na mujhe yaad kiya mere baad