aa kidhar hai tu saqi-e-maKHmur

aa kidhar hai tu saqi-e-makhmur
bhar ke de jam-e-baada-e-angur

koi jam-e-sharab aisa pila
jis se shadi kare dil-e-ranjur

ranj-e-geti se dil mukaddar hai
bhar ke de mai se saghar-e-billor

aaj yaum-e-zafar do-shohra hai
talib-e-aish hai dil-e-jamhur

mar kar dew-e-bad ko lanka se
ram aae muzaffar-o-mansur

ram-o-sita awadh mein jab aae
dil-e-kaushalya hua masrur

takht-e-lanka diya wibhishan ko
jab hua qatl rawan-e-maqhur

dil sumitra ka bhi hua khursand
dekha lachhman ka jab rukh-e-pur-nur

kash dashrath bhi zinda hote aaj
tha na ishwar ko ye magar manzur

doston ko ye din mubarak ho
ho mubarak unhen ye aish-o-surur

sal puchhe agar koi kah do
aaj mara hai rawan-e-maghrur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close