aadat meri duniya se chhupane ki nahin thi

aadat meri duniya se chhupane ki nahin thi
wo baat bhi kah di jo batane ki nahin thi

main khush hun bahut gard ko aaine pe rakh kar
di wo mujhe surat jo dikhane ki nahin thi

hum kha gae dhoka teri aankhon ki nami se
wo chot dikha di jo dikhane ki nahin thi

achchha hua nind aa gai arbab-e-wafa ko
aage ye kahani bhi sunane ki nahin thi

yun dil ko kiya shoala-e-gham tere hawale
is ghar mein koi chiz bachane ki nahin thi

kuchh is liye apna na saka is ko zamana
'saulat' ki jo aadat thi zamane ki nahin thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close