aadat se un ki dil ko khushi bhi hai gham bhi hai ye lutf hai sitam bhi hai uzr-e-sitam bhi hai ulfat mujhe jatate ho dil mein bhi dard hai rone ka munh banate ho aankhon mein nam bhi hai is but ka wasl tha to khudai ka aish tha ye jaante na the ki zamane mein gham bhi hai taskin mere dil ki aur us bewafa ka qaul dil mein fareb bhi hai labon par qasam bhi hai ab aao mil ke so rahen takrar ho chuki aankhon mein nind bhi hai bahut raat kam bhi hai naumidi bhi hai wasl se us ke umid bhi kuchh dard-e-dil badha bhi hai kuchh ranj kam bhi hai ye baat gar na ho to kare kaun hausla milna kisi ka sahl bhi hai aur alam bhi hai jata hai shak bhi kar gaya hai wahm mein wo shokh kuche mein ghair hi ke nishan-e-qadam bhi hai baham tapak bhi hain kabhi ranjishen bhi hain lutf-o-karam bhi hai kabhi jaur-o-sitam bhi hai aa jaen wo magar mujhe aata nahin yaqin qasid ka jo hai qaul wo khat mein raqam bhi hai bigde hue hain aaj khuda khair hi kare kuchh bal bhi hai jabin pe kuchh abru pe kham bhi hai mar jate hum to kab ke ajal dekhti hai tu fursat kisi ke gham se hamein koi dam bhi hai kahne ko do makan hain kin to hai ek hi bait-us-sanam hai jo wahi bait-ul-haram bhi hai yun kah ke bhul jaana ye khu aap hi ki hai mujh ko wo yaad ahd bhi hai wo qasam bhi hai jab kuchh kahun to kahte hain ye phir sununga main phir aisa koi waqt bhi hai koi dam bhi hai kaisa visal o hijr agar fahm hai 'nizam' har haal mein juda bhi hai wo aur baham bhi hai
This is a great shak mat karo shayari. True lovers of apni badhai shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this tera mera milna shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!