aae hum 'ghaalib'-o-'iqbaal' ke naghmat ke baad 'mushaf'-e-ishq-o-junun husn ki aayat ke baad ai watan khak-e-watan wo bhi tujhe de denge bach gaya hai jo lahu ab ke fasadat ke baad nar-e-namrud yahi aur yahi gulzar-e-khalil koi aatish nahin aatish-kada-e-zat ke baad ram-o-gautam ki zamin hurmat-e-insan ki amin banjh ho jaegi kya khun ki barsat ke baad tishnagi hai ki bujhae nahin bujhti 'sardar' badh gai kausar-o-tasnim ki saughat ke baad