aae the tere shahr mein kitni lagan se hum

aae the tere shahr mein kitni lagan se hum
mansub ho sake na teri anjuman se hum

bezar aa na jaen gham-e-jaan-o-tan se hum
apne watan mein rah ke bhi hain be-watan se hum

yun be-rukhi se pesh na aa ahl-e-dil ke sath
uth kar chale na jaen teri anjuman se hum

ye sar-kashi junun nahin pindar-e-ishq hai
guzre hain dar se bhi usi bankpan se hum

mehr-o-mah-o-nujum ki manind roz-o-shab
har jaur-e-asman pe rahe khanda-zan se hum

milte hain roz dast-e-saba se payam-e-gul
zindan mein bhi qarib hain ahl-e-chaman se hum

'shair' adab ke mohtasibon ko khabar nahin
kya kaam le rahe hain taghazzul ke fan se hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close