aaenge wo to aap mein hargiz na aaenge

aaenge wo to aap mein hargiz na aaenge
hum apni be-khudi ke tamashe dikhaenge

hum naqd-e-dil jo sine mein apne na paenge
duzd-e-nigah-e-yar ko chori lagaenge

ai be-khudi jo aap mein hum ab ki aaenge
phir dil-lagi se bhi nahin dil ko lagaenge

jab su-e-dasht aap ke diwane jaenge
farhad-o-qais dur talak lene aaenge

parwana wo kahenge to hum un ko shoala-ru
hum bhi jalaenge jo wo hum ko jalaenge

kyun dabte hain honth wo danton mein bar bar
kya tegh-e-lab ko aab-e-guhar mein bujhaenge

dam-e-bala se dekhiye kyunkar najat ho
kab tak wo hum ko zulf ki galiyan jhakaenge

wahshi-e-chashm-e-yar jo niklega shahr se
aankhon ko dhele aahu-e-sahra lagaenge

huron se chal ke dad-e-jamal us ki lenge hum
taswir-e-yar qasr-e-jinan mein lagaenge

utthenge phir na baith ke manind-e-naqsh-e-pa
hum apne zoaf ki tumhein taqat dikhaenge

jage hue firaq ke sote hain zer-e-khak
bad-khwab hon ke hum jo farishte jagaenge

lene mein jins-e-dil ke to ujlat kamal hai
dene mein naqd-e-wasl ke barson jhakaenge

garm-e-khiram honge agar sehn-e-bagh mein
angaron par wo kabk-e-chaman ko lutaenge

sina-sipar hain aashiq-e-jaan-baz saikadon
tegh-e-nigah-e-naz wo kab aazmaenge

ab ki to hijr-e-yar mein hum gor jhank aae
jite hain to kisi se na phir dil lagaenge

ai shahsawar-e-naz ye mitta hai bar bar
tere samand-e-husn ko hum khud banaenge

hum kyun itaat in ki karen faeda 'qalaq'
kya ye butan-e-dahr khuda se milaenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close